Aleem Akhtar

mohabbat kya mohabbat ka sila kya

Aleem Akhtar

1914-1972
mohabbat kyā mohabbat kā silā kyā
ġham-e-barbādi-e-jins-e-vafā kyā
dil-e-be-mudda.ā kā mudda.ā kyā
hamārā haal ham se pūchhnā kyā
hameñ duniyā meñ apne ġham se matlab
zamāne kī ḳhushī se vāstā kyā
sitam-hā-e-farāvāñ chāhtā huuñ
karam kī aarzū kyā iltijā kyā
ham us ke aur us kā ġham hamārā
is andāz-e-karam kā pūchhnā kyā
rahā dil ko na ab zauq-e-sitam kyuuñ
vo haiñ āmāda-e-tark-e-jafā kyā
tire ġham ke sahāre jī rahe haiñ
hamārī aarzū kyā mudda.ā kyā
bahāroñ par ḳhizāñ sarf-e-asar hai
ma.āl-e-ġhunch-o-gul dekhnā kyā
ta.alluq aur tire ġham se ta.alluq
urūj-e-baḳht-e-'aḳhtar' pūchhnā kyā
Top Urdushayar.com