Aleem Akhtar

mohabbat ka rag-o-pai mein meri ruh-e-rawan hona

Aleem Akhtar

1914-1972

mohabbat rag-o-pai meñ mirī rūh-e-ravāñ honā

mubārak har nafas ko ik hayāt-e-jāvedāñ honā

hamāre dil ko aa.e kis tarah phir shādmāñ honā

tirī nazroñ ne sīkhā nahīñ jab mehrbāñ honā

tire kūche meñ honā us pe terā āstāñ honā

mubārak tere kūche zamīñ ko āsmāñ honā

ye hālat hai ki bedārī bhī hai ik ḳhvāb aalam

ma.āz-allāh apnā ḳhūgar-e-ḳhvāb-e-girāñ honā

use ḳhush kar sakeñgī kyā bahāreñ zindagānī

chaman meñ jis ne dekhā ho bahāroñ ḳhizāñ honā

jo bad-qismat tire ġham masarrat se haiñ nā-vāqif

vo kyā jāneñ kise kahte haiñ dil shādmāñ honā

mujhe āñkheñ dikhā.egī bhalā kyā gardish-e-daurāñ

mirī nazroñ ne dekhā hai tirā nā-mehrbāñ honā

jabīñ o āstāñ ke darmiyāñ sajde hoñ kyuuñ haa.il

jabīñ ko ho mayassar kaash jazb-e-āstāñ honā

havas-kārān-e-ishrat aah kyā samjheñge ai 'aḳhtar'

bahut dushvār hai zauq-e-alam rāz-dāñ honā

Top Urdushayar.com