safar  hai  dhuup  kā  is  meñ  qayām  thoḌī  hai
balā  hai  ishq  ye  bachchoñ  kā  kaam  thoḌī  hai
kisī  ko  vasl  hai  bojhal  koī  firāq  meñ  ḳhush
diloñ  ke  khel  meñ  koī  nizām  thoḌī  hai
hamāre  dil  meñ  dhaḌaktā  hai  naam  us  kā  abhī
hai  ye  shurū-e-mohabbat  tamām  thoḌī  hai
jo  ahl-e-ishq  haiñ  manzil  kā  ġham  nahīñ  karte
ye  ḳhaas  logoñ  kā  rasta  hai  aam  thoḌī  hai
ham  apne  man  kī  kareñge  burā  lage  ki  bhalā
hamārā  dil  hai  tumhārā  ġhulām  thoḌī  hai
tumhārī  yaad  jo  aa.ī  to  aa  ga.e  milne
vagarna  tum  se  hameñ  koī  kaam  thoḌī  hai
baḌhā  jo  dard  to  kāġhaz  pe  ḳhud  utar  aayā
samajh  ke  soch  ke  likkhā  kalām  thoḌī  hai