jo  tū  merā  muqaddar  bante  bante  rah  gayā  hai
samajh  le,  kuchh  kahīñ  par  bante  bante  rah  gayā  hai
ye  dil  ke  zaḳhm  to  vaise  ke  vaise  hī  hare  haiñ
ki  terā  lams  mantar  bante  bante  rah  gayā  hai
maiñ  terī  dūrī-o-qurbat  se  aage  aa  ga.ī  huuñ
so  terā  naqsh  dil  par  bante  bante  rah  gayā  hai
ajab  hī  kyā  hai  jo  mujh  ko  nahīñ  tū  mil  sakā  to
mirā  har  kaam  aksar  bante  bante  rah  gayā  hai
kahānī  ibtidā  hī  se  bahut  uljhī  huī  thī
sabhī  kuchh  is  meñ  behtar  bante  bante  rah  gayā  hai