Faizan Hashmi

isi jahaz ke sahra mein Dub jaane ki

Faizan Hashmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1986
isī jahāz ke sahrā meñ Duub jaane kī
ḳhabar milī thī mujhe ḳhvāb meñ ḳhazāne kī
bahut se diida o nādīda ḳhvāb sāmne the
ik aisī samt thī karvaT mire sirhāne kī
maiñ is jagah pe jo ik din palaT ke aayā to
koī bhī chiiz nahīñ thī mire zamāne kī
har ek kaam suhulat se hotā rahtā thā
koī ḳhalish nahīñ hotī thī kar dikhāne kī
maiñ ik ḳhayāl kā ḳhema lagā.e baiThā thā
bahut jagah thī mire paas sar chhupāne kī
vo kyā ḳhushī thī jo dil meñ bahāl rahtī thī
magar vaj.h nahīñ bantī thī muskurāne kī
ik aise vaqt meñ vo donoñ ho ga.e ābād
jahāñ kisī ko ijāzat nahīñ thī aane kī
ajiib dasht thā jo mujh se daad chāhtā thā
qarīb phaile hue duur ke zamāne kī
tamām shahr meñ puurī tarah ḳhamoshī thī
mujhe paḌī thī koī giit gungunāne kī
Top Urdushayar.com