mudda.ī  us  se  suḳhan-sāz  ba-sālūsī  hai
phir  tamannā  ko  yahāñ  muzhda-e-māyūsī  hai
merī  hī  tarah  jigar  ḳhuuñ  hai  tirā  muddat  se
ai  hinā  kis  kī  tujhe  ḳhvāhish-e-pā-bosī  hai
aah  ai  kasrat-e-dāġh-e-ġham-e-ḳhūbāñ  ki  mudām
safha-e-sīna  pur-az-jalva-e-tā.ūsī  hai
tohmat-e-ishq  abas  karte  haiñ  mujh  ko  'minnat'
haañ  ye  sach  milne  kī  ḳhūbāñ  se  to  ik  ḳhū  sī  hai