bashar  kī  zad  meñ  junūñ  bhī  hai  āgahī  bhī  hai
ye  musht-e-ḳhāk  farishta  bhī  aadmī  bhī  hai
hazār  haif  vahī  dushmanī  pe  haiñ  maa.il
vo  log  jin  pe  hameñ  haqq-e-dostī  bhī  hai
dayār-e-ishq  meñ  aise  gadā  bhī  dekhe  haiñ
ki  jin  ke  zer-e-kaf-e-pā  shahanshahī  bhī  hai
fasāna  jis  ko  samajh  kar  bigaḌ  rahe  ho  tum
jo  sun  sako  to  vo  ahvāl  vāqa.ī  bhī  hai
havas  sharīk  ho  is  meñ  to  maut  hai  varna
jo  sidq  ho  to  mohabbat  meñ  zindagī  bhī  hai
har  ek  tār-e-rag-e-jāñ  meñ  naġhmagī  bhar  dī
sitam  ki  us  pe  ye  talqīn-e-ḳhāmushī  bhī  hai
vafā  kā  zikr  to  karte  haiñ  raat  din  sab  log
vafā  zamāne  meñ  lekin  kahīñ  rahī  bhī  hai
payām-e-vasl  diyā  hai  hameñ  adū  ke  haath
karam  ke  saath  adā-e-sitamgarī  bhī  hai
ye  dil  jo  vāqif-e-asrār-e-do-jahāñ  niklā
ḳhushā-nasīb  ki  ye  ḳhud  se  ajnabī  bhī  hai
surūr  ishq  kā  hai  zarf-e-dil  pe  dār-o-madār
ye  dā.imī  sā  nasha  bhī  hai  aarzī  bhī  hai
tū  pī  ke  lutf  uThātā  hai  yā  bahaktā  hai
uThā  ki  shīshe  meñ  ik  dev  bhī  parī  bhī  hai
hujūm-e-ġham  ke  añdhere  bhī  dil  meñ  haiñ  lekin
kisī  kī  yaad  kī  ujlī  sī  raushnī  bhī  hai
rahīn-e-vus.at-e-dāmāñ  hai  ishq  kī  ḳhairāt
saḳhī  ke  ghar  meñ  kisī  baat  kī  kamī  bhī  hai