phuul  bhare  haiñ  dāman  dāman
lekin  vīrāñ  vīrāñ  gulshan
ishq  kī  mastī  dil  kī  dhaḌkan
ek  javānī  do  do  joban
dekhe  haiñ  sab  shaiḳh-o-barahman
naam  baḌe  aur  chhoTe  darshan
kaun  kisī  ke  dukh  kā  sāthī
apne  aañsū  apnā  dāman
zabt  ne  jab  bhī  hoñT  siye  haiñ
tez  huī  hai  dil  kī  dhaḌkan
gorā  mukhḌā  kaalī  zulfeñ
sub.h  ke  dar  par  shaam  kī  chilman
gulshan  ke  matvāle  haiñ  ham
phuul  bhī  gulshan  ḳhaar  bhī  gulshan
aql  kī  bāteñ  karne  vaale
kyā  samjheñge  dil  kī  dhaḌkan
husn  aur  ishq  meñ  farq  yahī  hai
ek  hai  shīsha  ek  hai  aahan
tan  ke  ujle  man  ke  maile
ye  haiñ  vaa.iz  jī  ke  lachchhan
aql  ne  aksar  dil  ko  kosā
naach  na  jaane  TeḌhā  āñgan
tan-man  tum  par  vaar  diye  haiñ
us  kā  sab  kuchh  jis  kā  tan-man
terā  dāman  chhoḌūñ  kaise
merī  duniyā  terā  dāman
ruuTh  ke  jaane  vaale  āḳhir
apnoñ  se  kyuuñ  itnī  an-ban
terī  yaad  kā  nuur  thā  varna
hijr  kī  zulmat  aur  ho  raushan
aaj  'sahar'  aanā  hai  kis  ko
raushan  hai  kyuuñ  merā  āñgan