ulfat  kā  anjām  burā  hai
daana  achchhā  daam  burā  hai
shaiḳh  achchhe  haiñ  aur  bure  ham
bad  achchhā  badnām  burā  hai
shaiḳh  ke  muñh  meñ  pand-o-nasīhat
mai  achchhī  hai  jaam  burā  hai
is  duniyā  meñ  aksar  dekhā
jurm  achchhā  ilzām  burā  hai
hirs  kī  bāteñ  karne  vaalo
is  shai  kā  anjām  burā  hai
ahd-e-vafā  par  marne  vaalo
mat  karnā  ye  kaam  burā  hai
vasl  kā  va.ada  kar  ke  bole
ab  kahiye  paiġhām  burā  hai