basoñ  par  tabassum  to  āñkhoñ  meñ  paanī
yahī  hai  yahī  dil-jaloñ  kī  nishānī
tirī  be-ruḳhī  aur  tirī  mehrbānī
yahī  maut  hai  aur  yahī  zindagānī
vahī  ik  fasāna  vahī  ik  kahānī
javānī  javānī  javānī  javānī
na  ab  vo  masarrat  na  vo  shādmānī
dareġhā  javānī  dareġhā  javānī
mohabbat  hī  hai  asl  meñ  jāvedānī
buḌhāpā  bhī  faanī  javānī  bhī  faanī
atā  kar  mujhe  vo  maqām-e-mohabbat
kare  husn  ḳhud  ishq  kī  pāsbānī
batā.ūñ  hai  kyā  āñsuoñ  kī  haqīqat
jo  samjho  to  sab  kuchh  na  samjho  to  paanī
zamīñ  se  ta.alluq  na  rishta  falak  se
musībat  hai  goyā  buland  āshyiānī
'sahar'  is  jahān-e-bahār-e-ḳhizāñ  meñ
ḳhushī  dā.imī  hai  na  ġham  jāvedānī