ghaTā  hai  baaġh  hai  mai  hai  subū  hai  jaam  hai  saaqī
ab  is  ke  ba.ad  jo  kuchh  hai  vo  terā  kaam  hai  saaqī
umīd-e-vasl  rakhnā  ik  ḳhayāl-e-ḳhām  hai  saaqī
burā  to  kuchh  nahīñ  lekin  mazāq-e-ām  hai  saaqī
falak  dushman  muḳhālif  gardish-e-ayyām  hai  saaqī
magar  ham  haiñ  tirī  mahfil  hai  daur-e-jām  hai  saaqī
jo  apnī  har  nazar  se  ik  ḳhudā  taḳhlīq  karte  haiñ
unheñ  dair  o  haram  sī  chiiz  se  kyā  kaam  hai  saaqī
udāsī  sard  aaheñ  karb  hasrat  dard  majbūrī
mohabbat  talḳhiyoñ  kā  ek  shīrīñ  naam  hai  saaqī
jinheñ  shauq-e-talab  hai  aur  jinheñ  zauq-e-tajassus  hai
unheñ  koh-o-bayābāñ  manzil-e-yak-gām  hai  saaqī