zindagī  soz  bane  saaz  na  hone  paa.e
dil  to  TuuTe  magar  āvāz  na  hone  paa.e
dard  agar  shāmil-e-āvāz  na  hone  paa.e
koī  monis  koī  dam-sāz  na  hone  paa.e
jaam  se  kuchh  ko  pilā  kuchh  ko  nigāhoñ  se  magar
koī  mai-kash  nazar-andāz  na  hone  paa.e
lutf  jab  hai  ki  rahe  ishq  sadā  mahv-e-niyāz
aur  is  baat  pe  bhī  naaz  na  hone  paa.e
ḳhud  ko  karnā  hai  junūñ  ke  jo  havāle  to  ye  sun
aql  hargiz  ḳhalal-andāz  na  hone  paa.e
jis  meñ  anjām  kā  ho  ḳhauf  sadā  dāman-gīr
aise  afsāne  kā  āġhāz  na  hone  paa.e
ishq  aur  husn  mileñ  mil  ke  ḳhudā  ban  jaa.eñ
gar  havas  tafraqa-andāz  na  hone  paa.e
āshiyāñ  kunj-e-qafas  se  bhī  girāñ-tar  ho  'sahar'
gar  muāvin  par-e-parvāz  na  hone  paa.e