Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

karo jo chaho humse puchhna kya

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
karo jo chāho ham se pūchhnā kyā
hamārī aarzū kyā mudda.ā kyā
samajh kā pher hai achchhā burā sab
jo sach pūchho to achchhā kyā burā kyā
kareñ sajda faqat ham bahr-sajda
nahīñ manzūr banda kyā ḳhudā kyā
jise mil jaa.e tere ġham kī daulat
ġham-e-duniyā se us ko vāsta kyā
aizzah kyuuñ sar-e-bālīñ haiñ ḳhāmosh
marīz-e-ġham abhī se so gayā kyā
mare jaate haiñ ham ḳhauf-e-fanā se
na ho marnā to jiine meñ burā kyā
na jaane aaj kyuuñ bigḌe hue ho
kisī ne kaan meñ kuchh kah diyā kyā
na jiinā haath meñ apne na marnā
bashar kī ibtidā kyā intihā kyā
sitam dekho mujhī se pūchhte haiñ
nasīb-e-dushmanāñ kuchh ho gayā kyā
hamārā kaam hai ghuT ghuT ke marnā
vahī jaane jafā kyā hai vafā kyā
sar-e-mimbar koī jā kar to dekhe
abhī tak hai dar-e-mai-ḳhāna vā kyā
vo vaqt-e-sub.h ruḳhsat ho rahe haiñ
yahī hai shām-e-ġham kī ibtidā kyā
but-e-kāfir se ulfat hai 'sahar' ko
vahī jaane ki but kyā hai ḳhudā kyā
Top Urdushayar.com