karo  jo  chāho  ham  se  pūchhnā  kyā
hamārī  aarzū  kyā  mudda.ā  kyā
samajh  kā  pher  hai  achchhā  burā  sab
jo  sach  pūchho  to  achchhā  kyā  burā  kyā
kareñ  sajda  faqat  ham  bahr-sajda
nahīñ  manzūr  banda  kyā  ḳhudā  kyā
jise  mil  jaa.e  tere  ġham  kī  daulat
ġham-e-duniyā  se  us  ko  vāsta  kyā
aizzah  kyuuñ  sar-e-bālīñ  haiñ  ḳhāmosh
marīz-e-ġham  abhī  se  so  gayā  kyā
mare  jaate  haiñ  ham  ḳhauf-e-fanā  se
na  ho  marnā  to  jiine  meñ  burā  kyā
na  jaane  aaj  kyuuñ  bigḌe  hue  ho
kisī  ne  kaan  meñ  kuchh  kah  diyā  kyā
na  jiinā  haath  meñ  apne  na  marnā
bashar  kī  ibtidā  kyā  intihā  kyā
sitam  dekho  mujhī  se  pūchhte  haiñ
nasīb-e-dushmanāñ  kuchh  ho  gayā  kyā
hamārā  kaam  hai  ghuT  ghuT  ke  marnā
vahī  jaane  jafā  kyā  hai  vafā  kyā
sar-e-mimbar  koī  jā  kar  to  dekhe
abhī  tak  hai  dar-e-mai-ḳhāna  vā  kyā
vo  vaqt-e-sub.h  ruḳhsat  ho  rahe  haiñ
yahī  hai  shām-e-ġham  kī  ibtidā  kyā
but-e-kāfir  se  ulfat  hai  'sahar'  ko
vahī  jaane  ki  but  kyā  hai  ḳhudā  kyā