shikva-e-daur-e-jām  hai  saaqī
zindagī  tishna-kām  hai  saaqī
rok  de  gardish-e-zamāna  ko
tere  hāthoñ  meñ  jaam  hai  saaqī
fursat-e-sabr-o-ajr  kis  ko  ho
zindagī  tez-gām  hai  saaqī
mai  kā  piinā  harām  ho  ki  na  ho
na  pilānā  harām  hai  saaqī
dar-haqīqat  hayāt-o-maut  abhī
qissa-e-nā-tamām  hai  saaqī
tālib-e-intiqām  kyūñ-kar  hoñ
umr  ḳhud  intiqām  hai  saaqī
aañkh  milte  hī  kar  diyā  mad.hosh
ye  tumhārā  hī  kaam  hai  saaqī
ham  charāġh-e-'sahar'  sahī  lekin
mai-kade  kī  tū  shaam  hai  saaqī