tum  hamāre  nahīñ  to  kyā  ġham  hai
ham  tumhāre  to  haiñ  ye  kyā  kam  hai
baal  bikhre  haiñ  aañkh  pur-nam  hai
mar  gayā  kaun  kis  kā  mātam  hai
husn  kī  shoḳhiyāñ  zarā  dekho
gaah  sho.ala  hai  gaah  shabnam  hai
muskurā  do  zarā  ḳhudā  ke  liye
sham-e-mahfil  meñ  raushnī  kam  hai
chhā  rahī  haiñ  ghaTā.eñ  sāvan  kī
zulf-e-gardūñ  bhī  aaj  barham  hai
ban  gayā  hai  ye  zindagī  ab  to
tujh  se  baḌh  kar  hameñ  tirā  ġham  hai
chaak  dāman  hai  kis  liye  gul  kā
kis  liye  ashk-rez  shabnam  hai
mahfil-e-raqs  ho  ki  sher-o-sharāb
tum  nahīñ  ho  to  bazm-e-mātam  hai
har  masarrat  alam  kā  hai  partav
jo  ḳhushī  hai  amānat-e-ġham  hai
is  meñ  aañsū  bhī  haiñ  tabassum  bhī
zindagī  ik  tazād-e-paiham  hai
shaiḳh  sāhab  jarāhat-e-dil  kā
aap  ke  paas  koī  marham  hai
is  ko  sajde  kiye  farishtoñ  ne
aadmī  hai  ye  ibn-e-ādam  hai