zanjīr  ne  kī  jumbish  vahshat  ne  lī  añgḌā.ī
shāyad  ki  bahār  aa.ī  shāyad  ki  bahār  aa.ī
yak-rañgī-o-yaksūī  yakjihatī-o-yakjā.ī
kahte  haiñ  junūñ  jis  ko  hai  asl  meñ  dānā.ī
itnā  to  batā  ai  dil  ye  kaun  sī  manzil  hai
ab  ḳhud  hī  tamāshā  huuñ  aur  ḳhud  hī  tamāshā.ī
dīvāna  huuñ  maiñ  be-shak  dīvāna  magar  kis  kā
pūchhe  to  koī  un  se  ye  kis  kī  hai  rusvā.ī
mumkin  jo  nahīñ  terā  duniyā  meñ  hameñ  milnā
mahshar  hī  meñ  mil  leñge  tujh  se  tire  shaidā.ī
ye  sāqi-e-mehvish  hai  vo  jām-e-mai-e-rañgīñ
hai  aur  kahāñ  jannat  jannat  ke  tamannā.ī
be-vaj.h  se  taskīñ  hai  kyuuñ  aaj  'sahar'  mujh  ko
kaun  aayā  hai  ghar  mere  vo  haiñ  ki  qazā  aa.ī