ḳhizāñ  meñ  bhī  bahār-e-jāvedāñ  mālūm  hotī  hai
javānī  ho  to  phir  har  shai  javāñ  mālūm  hotī  hai
yahāñ  mālūm  hotī  hai  vahāñ  mālūm  hotī  hai
ḳhalish  dil  kī  kahāñ  hai  aur  kahāñ  mālūm  hotī  hai
jafā  un  kī  vafā  merī  vafā  merī  jafā  un  kī
mohabbat  dāstāñ-dar-dāstāñ  mālūm  hotī  hai
asīrān-e-qafas  haiñ  ham  se  pūchho  qadr-e-āzādī
ki  ab  bijlī  bhī  shāḳh-e-āshiyāñ  mālūm  hotī  hai
ye  maanā  ishq  meñ  sabr  o  sukūñ  se  kuchh  nahīñ  hāsil
magar  āh-o-fuġhāñ  bhī  rā.egāñ  mālūm  hotī  hai
payām-e-ishq  dete  haiñ  vo  jab  nazroñ  hī  nazroñ  meñ
vo  ik  saa.at  hayāt-e-jāvedāñ  mālūm  hotī  hai
latāfat  ishq  kī  hai  māna-e-nazzāra-e-sūrat
mohabbat  ḳhud  hijāb-e-darmiyāñ  mālūm  hotī  hai
baḌī  mushkil  se  samjhe  haiñ  shahīd-e-ishq  kā  mansab
'sahar'  ab  zindagī  bār-e-girāñ  mālūm  hotī  hai