ai  ḳhushā-vaqte  ki  shoḳh-e-tarah-dār  aa  hī  gayā
haañ  vo  jān-e-mai-kada  msatānā-vār  aa  hī  gayā
dard  kī  shiddat  hī  āḳhir  dard  kā  darmāñ  banī
be-qarārī  se  mujhe  āḳhir  qarār  aa  hī  gayā
yaad  the  un  ke  mujhe  sab  ahd-o-paimāñ  toḌne
vāda-e-fardā  pe  lekin  e'tibār  aa  hī  gayā
maut  laa.ī  hai  payām-e-iḳhtitām-e-ranj-o-ġham
aa  gayā  vo  vaqt  ba.ad-e-intizār  aa  hī  gayā
is  taraf  josh-e-mohabbat  us  taraf  josh-e-shabāb
aa  gayā  haañ  un  pe  dil  be-iḳhtiyār  aa  hī  gayā
zauq-e-ḳhud-bīnī  ne  dikhlā.ī  'sahar'  apnī  bahār
husn  ke  ma.asūm  chehre  par  nikhār  aa  hī  gayā