zarā  zarā  sī  aan  meñ  vo  jān-e-jāñ  badal  gayā
kabhī  to  baat  kaaT  dī  kabhī  zabāñ  badal  gayā
hameñ  to  ye  gila  nahīñ  ki  jān-e-jāñ  badal  gayā
gila  ye  hai  ki  vo  ba-haqq-e-dīgarāñ  badal  gayā
bahār  to  bahār  thī  ḳhizāñ  bhī  ab  bahār  hai
nizām-e-gulsitāñ  mizāj-e-bāġhbāñ  badal  gayā
bajā  ki  hai  taġhayyur-e-chaman  se  zīnat-e-chaman
magar  ye  kyā  ki  gulsitāñ  kā  gulsitāñ  badal  gayā
fuġhān-o-zabt-e-āh  meñ  yahī  hai  farq  aur  kyā
ki  aag  to  lagī  rahī  magar  dhuāñ  badal  gayā
rah-e-hayāt  se  hazāroñ  rāste  nikal  ga.e
kise  ye  ab  ḳhayāl  hai  ki  koī  kahāñ  badal  gayā
tirī  nigāh  thī  to  ik  jahān  sāzgār  thā
tirī  nigāh  phir  ga.ī  to  ik  jahāñ  badal  gayā
vahī  fareb-e-dushmanāñ  hai  is  kā  ġham  nahīñ  hameñ
hameñ  to  ġham  ye  hai  ḳhulūs-e-dostāñ  badal  gayā
junūñ  ne  sauñp  dī  ḳhirad  ke  haath  rasm-e-rahbarī
lo  ahl-e-kārvāñ  amīr-e-kārvāñ  badal  gayā
vajūd  se  adam  ko  yuuñ  chalā  gayā  hai  ik  ġharīb
kirā.e-dār  jis  tarah  koī  makāñ  badal  gayā
haram  se  jo  ḳhulūs  thā  hai  der  se  vahī  ḳhulūs
jabīñ  vahī  hai  kyā  huā  jo  āstāñ  badal  gayā