mohabbat  kā  hogā  asar  rafta  rafta
nazar  se  milegī  nazar  rafta  rafta
shab-e-ġham  kī  tūlāniyoñ  se  na  ghabrā
ki  is  kī  bhī  hogī  sahar  rafta  rafta
nazar  un  kī  aise  milī  hai  ki  jaise
milā.eñge  dil  bhī  magar  rafta  rafta
qafas  se  rihā.ī  to  mil  jaa.e  pahle
nikal  ā.eñge  bāl-o-par  rafta  rafta
mirī  bandagī  kā  karishma  to  dekho
jabīñ  ban  ga.ī  sañg-e-dar  rafta  rafta
jahāñ  ham  kahīñ  naqsh-e-pā  chhoḌ  aa.e
vahīñ  ban  ga.ī  rahguzar  rafta  rafta
mire  saath  jo  do  qadam  bhī  chalā  hai
vahī  ban  gayā  ham-safar  rafta  rafta
ḳhudā  jaane  kyuuñ  sar  jhukāne  lage  haiñ
mujhe  dekh  kar  chāragar  rafta  rafta
abhī  us  ne  aane  kā  va.ada  kiyā  hai
chamakne  lage  bām-o-dar  rafta  rafta
shab-e-ġham  kī  rūdād  kyā  pūchhte  ho
'sahar'  ko  milī  hai  sahar  rafta  rafta