Ejaz Gul

aks ubhra na tha aaina-e-dil-dari ka

Ejaz Gul

aks ubhrā na thā ā.īna-e-dil-dārī

hijr ne khīñch diyā dā.era zañgārī

naaz kartā thā tavālat pe ki vaqt-e-ruḳhsat

bhed saa.e pe khulā shaam ayyārī

jis qadar ḳharch kiye saañs huī arzānī

nirḳh girtā gayā rasm-o-rah-e-bāzārī

raat ne ḳhvāb se vābasta rifāqat ke evaz

rāsta band rakhā din numūdārī

aisā vīrān huā hai ki ḳhizāñ rotī hai

kal bahut shor thā jis baaġh meñ gul-kārī

be-sabab jama.a to kartā nahīñ tiir o tarkash

kuchh hadaf hogā zamāne sitamgārī

pā-ba-zanjīr kiyā thā mujhe āsānī ne

marhala ho na sakā tai kabhī dushvārī

mutma.in dil hai ajab bhiiḌ se ġham-ḳhvāroñ

silsila tuul pakaḌ le na ye bīmārī

Top Urdushayar.com