Akhtar Husain Jafri

tapish gulzar tak pahunchi lahu diwar tak aaya

Akhtar Husain Jafri

Hoshiarpur, Punjab, India

1932-1992

tapish gulzār tak pahuñchī lahū dīvār tak aayā

charāġh-e-ḳhud-kalāmī dhuāñ bāzār tak aayā

huā kāġhaz musavvar ek paiġhām-e-zabānī se

suḳhan tasvīr tak pahuñchā hunar purkār tak aayā

abas tārīk raste ko tah-e-ḳhurshīd-e-jāñ rakkhā

yahī tār-e-nafas āzār se paikār tak aayā

mohabbat bhañvar apnā shikāyat jihat apnī

vo mehvar dūsrā thā jo mire pindār tak aayā

ajab chehra safar thā havas ke zard paanī meñ

qadam daldal se niklā to ḳhat-e-raftār tak aayā

phir is ke ba.ad tambūr o alam nā-mo'tabar Thahre

koī qāsid na is shām-e-shikast-āsār tak aayā

Top Urdushayar.com