Mohammad Ahmad Ramz

muhit-e-pak pe mauj-e-hunar mein raushan hun

Mohammad Ahmad Ramz

1932
muhīt-e-pāk pe mauj-e-hunar meñ raushan huuñ
maiñ e'tibār-e-kaf-e-kūza-e-gar meñ raushan huuñ
maiñ hāshiya huuñ tire jalva-zār-e-hairat kā
maiñ tere saath tire bām-o-dar meñ raushan huuñ
maiñ āp-apnā ujālā huuñ shab ke dāman par
maiñ āp-apnī duā-e-sahar meñ raushan huuñ
bujhā sakegī na mujh ko havā-e-sūd-o-ziyāñ
maiñ tāq-e-mā-hasal-e-ḳhair-o-shar meñ raushan huuñ
uThā ke le gayā mujh ko giroh-e-na.ara-kashāñ
maiñ inqalāb kī jhūTī ḳhabar meñ raushan huuñ
vahī hai kohnagi-e-zulmat-e-ḳhalā aur maiñ
na.ī uḌaan na.e bāl-o-par meñ raushan huuñ
na jaane kab se huuñ ātish-ba-jāñ tamāshā kar
tire liye maiñ tirī rah-guzar meñ raushan huuñ
chamak rahī hai udāsī mire havāle se
maiñ 'ramz' ab bhī kisī chashm-e-tar meñ raushan huuñ
Top Urdushayar.com