Mohammad Ahmad Ramz

uTThe ghubar-e-shor-e-nafas to wahshat mat karna

Mohammad Ahmad Ramz

1932
uTThe ġhubār-e-shor-e-nafas to vahshat mat karnā
dasht-darūñ se hijrat kaisī hijrat mat karnā
dariyā sabza phuul sitāre achchhī ḳhvāhish hai
patthar kāñTe dhuup gard se nafrat mat karnā
ik sach kī āvāz meñ haiñ jiine ke hazār āhañg
lashkar kī kasrat pe na jaanā bai.at mat karnā
neza-e-subh pe le kar chalnā kal kā sūraj
shab meñ magar ailān-e-naved-e-nusrat mat karnā
maiñ to sab kuchh dekh rahā huuñ kyā kyā hai us paar
maiñ jo kahūñ shīshe kā falak hai hairat mat karnā
geñd sī hai be-vazn ye duniyā merī Thokar meñ
maiñ jo kahūñ tum is ko uchchhālo jur.at mat karnā
'ramz' samundar kī gahrā.ī merā sar-e-añgusht
maiñ jo kahūñ utro paanī meñ ujlat mat karnā
Top Urdushayar.com