Mohammad Ahmad Ramz

lafzon ka nairang hai mere fan ke jadu se

Mohammad Ahmad Ramz

1932
lafzoñ kā nairañg hai mere fan ke jaadū se
ik ik rañg alag kar saktā huuñ maiñ ḳhushbū se
donoñ pareshāñ donoñ bojhal donoñ hī ghanghor
gahrā rishta hai bādal kā tere gesū se
merī peshānī par jhalkī mere lahū kī aag
rāt-Dhale kuchh chāñd sā ugnā us ke pahlū se
achchhī sūrat koī achānak sāmne jab aa jaa.e
apnī hī uñglī kaT jaatī hai apne chāqū se
haath ko haath ghanī zulmat meñ jab na samjhā.ī diyā
samt milī hai ik āvāra tanhā jugnū se
raat ga.e jab so jaatā hai paanī gahrī niiñd
naġhmoñ kī lahreñ uThtī haiñ chalte chappū se
'ramz' uThe haiñ ham bhī sambhāle apnā tiir kamān
ham ko bhī vahshat karnī hai aaj ik aahū se
Top Urdushayar.com