Mohammad Ahmad Ramz

lafz o bayan ke pas-manzar tak ek qaus-e-imkani aur

Mohammad Ahmad Ramz

1932

lafz o bayāñ ke pas-manzar tak ik qaus-e-imkānī aur

merī jast-e-hunar ko likh de koī samt-e-ma.ānī aur

bast-o-kushād-e-bāzū kyā hai sāñsoñ halchal ke sivā

chāñd ghirā ho jab maujoñ meñ baḌhtī hai tuġhyānī aur

sehr-e-savād-e-bahr-o-bar se kitne tūfāñ ubharte haiñ

ab is shorish-e-āb-o-gil ko miTTī aur na paanī aur

dasht-e-navā par chhā jā.egā is ke ba.ad ik lambā sukūt

maiñ chauthā darvesh huuñ mujh se sun lo ek kahānī aur

maiñ huuñ ġhazāl-e-mushk-guzīda merā safar hai tiir ke saath

jab hotī hai tez ye ḳhushbū baḌhtī jaulānī aur

Top Urdushayar.com