Hameed Almas

jitne achchhe log hain wo mujhse wabasta rahe

Hameed Almas

Gulbarga, Karnataka, India

1935-2002
jitne achchhe log haiñ vo mujh se vābasta rahe
mere saare bol un ke lab se paivasta rahe
sab parinde lā rahe haiñ āsmānoñ se ḳhabar
mere ghar āñgan meñ aa kar kab vo par-basta rahe
vo tarīq-e-ḳhauf-o-dahshat par amal-pairā sahī
maiñ ye kahtā huuñ ki qatl-o-ḳhūñ bhī shā.ista rahe
bāvajūd-e-ham-nashīnī us se kuchh paayā na faiz
dil bhī āzurda rahā hālāt bhī ḳhasta rahe
kam se kam baaqī rahe sab ke diloñ meñ rasm-o-rāh
ye munāsib hai gharoñ ke darmiyāñ rasta rahe
sarhad-e-imkāñ se aage thiiñ yahī tārīkiyāñ
kyā zarūrī hai añdherā har jagah Dastā rahe
umr-bhar karte rahe 'almās' milne se gurez
kījiye tahqīq kyuuñ vo raaz sar-basta rahe
Top Urdushayar.com