kisī  kī  chaah  meñ  ġham  kyā  hai  aur  ḳhushī  kyā  hai
tujhe  ḳhabar  nahīñ  mafhūm-e-āshiqī  kyā  hai
tapish  meñ  dhuup  ke  hotī  hai  qadr  saa.e  kī
na  ho  jo  maut  kā  ḳhatra  to  zindagī  kyā  hai
nahīñ  hai  farq  añdhere  meñ  aur  ujāle  meñ
nazar  na  aa.e  jahāñ  to  vo  raushnī  kyā  hai
haiñ  yuuñ  to  saikḌoñ  maḳhlūq  bazm-e-hastī  meñ
nahīñ  hai  dil  meñ  mohabbat  to  aadmī  kyā  hai
rahe  jo  dil  se  lipaT  kar  vo  ġham  hī  behtar  hai
jo  chand  lamhoñ  kī  mehmāñ  hai  vo  ḳhushī  kyā  hai
hai  aadmī  to  uThānā  hai  baar  hastī  kā
hai  aas  jiine  kī  hoñToñ  pe  kapkapī  kyā  hai
tire  liye  to  jhukānā  bhī  sar  ibādat  hai
agar  jhukā  na  sake  dil  to  bandagī  kyā  hai
tumhāre  jalva-e-aqdas  kā  ek  partav  hai
ye  najm  aur  ye  zohra  ye  mushtarī  kyā  hai
vo  dil-lagī  hai  agar  gudgudī  sī  aa  jaa.e
jalā  de  dil  ko  jo  'asġhar'  vo  dil-lagī  kyā  hai