koī  chhoTā  yahāñ  koī  baḌā  hai
ye  saarā  khel  zālim  vaqt  kā  hai
vo  sar  karte  haiñ  jin  ko  hausla  hai
vagarna  zindagī  ik  marhala  hai
tujhe  ma.alūm  kyā  hai  lazzat-e-ġham
tirā  dil  ishq  se  nā-āshnā  hai
jo  ḳhud  vāqif  nahīñ  manzil  se  apnī
ḳhudā  baḳhshe  hamārā  rahnumā  hai
Dubo.egā  use  kyā  koī  tūfāñ
ḳhudā  kashtī  kā  jis  kī  nāḳhudā  hai
chhupā.ūñ  aa.ine  se  kyā  haqīqat
baḌā  kam-baḳht  hai  sach  boltā  hai
faqat  ik  darmiyāñ  pardā  hai  varna
tirā  merā  azal  se  vāsta  hai
milā  kar  haath  ham  se  fā.eda  kyā
vahī  ab  tak  diloñ  meñ  fāsla  hai
nazar  jaatī  nahīñ  'asġhar'  kisī  par
nazar  meñ  jab  se  vo  jalva-numā  hai