ek  fitna  sā  uThāyā  hai  chalā  jā.egā
vaqt  be-vaqt  jo  aayā  hai  chalā  jā.egā
shahr  ko  saare  jalāne  ke  liye  niklā  thā
ab  jo  ghar  merā  jalāyā  hai  chalā  jā.egā
baiThnā  hai  to  ghane  peḌ  ke  nīche  baiTho
ye  to  dīvār  kā  saayā  hai  chalā  jā.egā
ham  ko  māregā  kahāñ  shīsh-mahal  meñ  rah  kar
sirf  patthar  hī  uThāyā  hai  chalā  jā.egā
vo  to  aatā  hai  añdhere  hī  meñ  Dasne  ke  liye
ab  to  har  samt  ujālā  hai  chalā  jā.egā
ḳhud  hī  thak  jā.egā  jab  gāliyāñ  de  kar  mujh  ko
us  pe  itnā  to  bharosa  hai  chalā  jā.egā
us  ne  chup  rah  ke  bhī  tūfān  uThā.e  kitne
aaj  kohrām  machāyā  hai  chalā  jā.egā
soch  ke  aayā  thā  duniyā  meñ  sab  apne  hoñge
apnā  saaya  bhī  parāyā  hai  chalā  jā.egā
ġham  ke  aane  kā  koī  ġham  nahīñ  ham  ko  'asġhar'
apnī  marzī  hī  se  aayā  hai  chalā  jā.egā