ho  ga.ī  apnoñ  kī  zāhir  dushmanī  achchhā  huā
chhoḌ  dī  ham  ne  bhī  un  kī  dostī  achchhā  huā
bach  ga.e  apnoñ  ke  har  mashq-e-sitam  se  shukr  hai
dostoñ  ne  ham  ko  samjhā  ajnabī  achchhā  huā
jis  ko  jiine  kā  zarā  sā  bhī  nahīñ  thā  hausla
Dar  ke  ġham  se  mar  gayā  vo  aadmī  achchhā  huā
jaane  maiñ  aur  tū  ke  jhagḌe  kaise  suljhāte  bhī  ham
aa  ga.ī  thī  kaam  apnī  be-ḳhudī  achchhā  huā
shaam  ke  saa.e  se  bhī  Dartī  rahī  jo  raushnī
khā  ga.ī  us  raushnī  ko  tīrgī  achchhā  huā
ġham  hī  apnā  yaar  hai  dil  se  judā  hotā  nahīñ
chand  lamhoñ  kī  ḳhushī  ab  jā  chukī  achchhā  huā
kaun  detā  mujh  ko  un  kī  bevafā.ī  kā  subūt
aap  ne  kar  dī  kahī  ko  an-kahī  achchhā  huā
mujh  ko  dīvāna  samajh  kar  log  mujh  se  duur  haiñ
muft  meñ  jo  mujh  pe  ye  tohmat  lagī  achchhā  huā
is  tarah  se  laaj  rakh  lī  ham  ne  'asġhar'  pyaar  kī
rote  rote  aa  ga.ī  lab  par  hañsī  achchhā  huā