suno  kuchh  dīda-e-nam  bolte  haiñ
jo  chup  the  aaj  vo  ġham  bolte  haiñ
kaho  sāñsoñ  meñ  hai  āvāz  kis  kī
ye  tum  kahte  ho  yā  ham  bolte  haiñ
tumhāre  husn  kī  ḳhushbū  guloñ  meñ
tumhārā  naam  mausam  bolte  haiñ
kisī  kī  bhī  kabhī  sunte  nahīñ  vo
magar  un  se  kaho  ham  bolte  haiñ
tumhārā  raag  ghuñgrū  ke  laboñ  par
tumhāre  hoñT  sargam  bolte  haiñ
tumhāre  husn  kā  jaadū  hai  kitnā
tumhārī  zulf  ke  ḳham  bolte  haiñ
vo  dekhā  hai  tumhārī  chashm-e-nam  meñ
jise  ham  sāġhar-e-jam  bolte  haiñ
use  ham  ne  kahīñ  dekhā  nahīñ  hai
jise  ahbāb  hamdam  bolte  haiñ
har  ik  suntā  hai  un  kī  baat  'asġhar'
jo  sunte  haiñ  bahut  kam  bolte  haiñ