kahne  aa.e  the  kuchh  kahā  hī  nahīñ
chal  diye  jaise  kuchh  sunā  hī  nahīñ
is  qadar  zulm  ibn-e-ādam  par
jaise  us  kā  koī  ḳhudā  hī  nahīñ
ham  jamā  kar  nigāh  baiThe  haiñ
apnī  qismat  kā  dar  khulā  hī  nahīñ
fikr  āġhāz  hī  kī  hai  sab  ko
koī  anjām  sochtā  hī  nahīñ
tere  maqtal  meñ  aa  ga.e  āḳhir
aur  kuchh  ham  ko  rāsta  hī  nahīñ
vo  tire  naqsh-e-pā  ko  kyā  samjhe
jis  kā  sajde  meñ  sar  jhukā  hī  nahīñ
tū  kitāboñ  meñ  DhūñDhtā  kyā  hai
ishq  kī  chāra-gar  davā  hī  nahīñ
jis  ko  siine  se  ham  lagā  lete
ham  ko  aisā  koī  milā  hī  nahīñ
aur  ab  jī  ke  kyā  kareñ  'asġhar'
ab  to  jiine  meñ  kuchh  mazā  hī  nahīñ