mayassar  ḳhud  nigah-dārī  kī  āsā.ish  nahīñ  rahtī
mohabbat  meñ  to  pesh-o-pas  kī  gunjā.ish  nahīñ  rahtī
añdhere  aur  bhī  kuchh  tez-raftārī  se  baḌhte  haiñ
diyā  koī  jalāne  kī  jahāñ  koshish  nahīñ  rahtī
ye  dil  to  kis  taraf  jaane  bahā  kar  le  gayā  hotā
nigāhoñ  meñ  agar  vo  sā.at-e-pursish  nahīñ  rahtī
mah-o-anjum  se  lauT  aa.eñ  ijāra-dār  duniyā  ke
jahāñ  ye  paañv  rakhte  haiñ  vahāñ  tābish  nahīñ  rahtī
bahut  se  phuul  lahje  ḳhaar  hote  ham  ne  dekhe  haiñ
kisī  shīrīñ-navā  kī  dil  ko  ab  ḳhvāhish  nahīñ  rahtī
musallas  kā  ḳhat-e-sālis  mujhe  mil  kar  nahīñ  detā
kabhī  qismat  se  vo  ruk  jaa.e  to  bārish  nahīñ  rahtī