kuchh  be-nām  ta.alluq  jin  ko  naam  achchhā  sā  dene  meñ
maiñ  to  saarī  bikhar  ga.ī  huuñ  ghar  ko  ikaTThā  rakhne  meñ
dā.era  manafī  musbat  kā  to  apnī  jagah  mukammal  hai
koī  barqī-rau  dauḌā  de  is  be-jān  se  naate  meñ
kaun  ehsās  kī  lau  baḳhshegā  rūkhe-phīke  manzar  ko
kaun  piro.egā  jazboñ  ke  motī  harf  ke  dhāge  meñ
aisā  kyā  andher  machā  hai  mere  zaḳhm  nahīñ  bharte
log  to  paara  paara  ho  kar  juḌ  jaate  haiñ  lamhe  meñ
rañj  kī  ik  be-mausam  Tahnī  dil  se  yuuñ  paivasta  hai
puurī  shāḳh  harī  ho  jaa.e  ek  sirā  chhū  lene  meñ
uupar  se  ḳhāmoshī  oḌh  ke  phirte  haiñ  jo  log  vahī
dhajjī  dhajjī  phirte  haiñ  andar  ke  pāgal-ḳhāne  meñ
sailāboñ  kī  ret  se  jis  ko  tū  ne  abas  namnāk  kiyā
dhīre  bahtā  ik  dariyā  ban  us  sahrā  ke  siine  meñ
bārish  ek  paḌe  to  bāhar  aape  se  ho  jaatī  hai
jis  maḳhlūq  ne  āñkheñ  kholīñ  dhartī  ke  tah-ḳhāne  meñ