sar-e-ḳhayāl  maiñ  jab  bhuul  bhī  ga.ī  ki  maiñ  huuñ
achānak  ek  ajab  baat  ye  sunī  ki  maiñ  huuñ
talāsh  kar  ke  mujhe  lūTne  ko  thā  koī
mire  vajūd  kī  ḳhushbū  pukār  uThī  ki  maiñ  huuñ
ki  tīrgī  meñ  palī  aañkh  ko  yaqīñ  aa  jaa.e
zarā  buland  ho  āhañg-e-raushnī  ki  maiñ  huuñ
vo  ḳhālī  jaan  ke  ghar  lūTne  ko  aayā  thā
mare  adū  ko  ḳhabar  aaj  ho  ga.ī  ki  maiñ  huuñ
na-jāne  kaisī  nigāhoñ  se  maut  ne  dekhā
huī  hai  niiñd  se  bedār  zindagī  ki  maiñ  huuñ
lapeT  do  saf-e-mātam  uThā  rakho  nauhe
pukārtā  sar-e-mahshar  sunā  koī  ki  maiñ  huuñ