koī  imkāñ  to  na  thā  us  kā  magar  chāhtā  thā
kab  se  koī  kisī  dīvār  meñ  dar  chāhtā  thā
zabt  ke  peḌ  ne  gul  aur  khilā.e  ab  ke
aur  hī  tarz  kā  ye  dil  to  samar  chāhtā  thā
āḳhirī  manzil-e-taskīn-e-dil-o-jān  talak
manzileñ  raah  na  kāTeñ  ye  safar  chāhtā  thā
chand  lamhoñ  ke  liye  jaḌ  ko  vo  sairāb  kare
aur  shitābī  se  nikal  aa.e  samar  chāhtā  thā
kitnā  kam-fahm  thā  koī  ki  jalā  kar  un  ko
zindagī  par  mire  ḳhvāboñ  kā  asar  chāhtā  thā
ye  alag  baat  ki  teshe  se  shanāsā.ī  na  thī
vārnā  jaan  koī  tujh  pe  magar  chāhtā  thā
hijr  ehsās  ko  shal  bhī  to  kiye  rahtā  hai
asar  us  kā  koī  bā-rañg-e-digar  chāhtā  thā
us  ko  sāyoñ  ke  ta.āqub  meñ  likhā  thā  rahnā
dard  āñgan  meñ  ghanā  ek  shajar  chāhtā  thā
ek  gahrī  sī  nazar  rauzan-e-dil  ke  andar
dasht-e-ehsās  kahāñ  shams  o  qamar  chāhtā  thā
āñdhiyāñ  dosh  pe  le  kar  vo  uḌā  phirtā  ho
aur  salāmat  bhī  rahe  kāñch-nagar  chāhtā  thā