Tanveer Samani

suraton ke shahr mein rauzan hi rauzan dekh kar

Tanveer Samani

sūratoñ ke shahr meñ rauzan hī rauzan dekh kar
ghar meñ aa baiThe kushāda ghar kā āñgan dekh kar
log Daale haiñ badan par fikr ke rañgīñ ġhilāf
ā.inoñ meñ shaḳhsiyat kā khurdurā-pan dekh kar
bad-gumāñ ahbāb hote haiñ to hone dījiye
baat kyuuñ ho fikr-o-fan kī rañg-o-roġhan dekh kar
ham chale the ḳhvāhishoñ kā tajziya karne magar
ruk ga.e haiñ īn-o-āñ kī tez dhaḌkan dekh kar
ab to vīrāna hī vīrāna hai shahr-e-dard meñ
kitne din royā kiye ḳhvāboñ kā madfan dekh kar
zehn tum ko jis taraf le jaa.e ai 'tanvīr' jaao
kyā karoge maslak-e-shaiḳh-o-barahman dekh kar
Top Urdushayar.com