Tanveer Samani

suraton ke shahr mein rauzan hi rauzan dekh kar

Tanveer Samani

sūratoñ ke shahr meñ rauzan rauzan dekh kar

ghar meñ aa baiThe kushāda ghar āñgan dekh kar

log Daale haiñ badan par fikr ke rañgīñ ġhilāf

ā.inoñ meñ shaḳhsiyat khurdurā-pan dekh kar

bad-gumāñ ahbāb hote haiñ to hone dījiye

baat kyuuñ ho fikr-o-fan rañg-o-roġhan dekh kar

ham chale the ḳhvāhishoñ tajziya karne magar

ruk ga.e haiñ īn-o-āñ tez dhaḌkan dekh kar

ab to vīrāna vīrāna hai shahr-e-dard meñ

kitne din royā kiye ḳhvāboñ madfan dekh kar

zehn tum ko jis taraf le jaa.e ai 'tanvīr' jaao

kyā karoge maslak-e-shaiḳh-o-barahman dekh kar

Top Urdushayar.com