Takrā  rahī  haiñ  tez  havā.eñ  chaTān  se
bāhar  na  jaao  apne  shikasta  makān  se
vo  raat  bhar  charāġh  kī  lau  dekhtā  rahā
imkāñ  tarāshtā  hai  jo  apne  gumān  se
azm-e-safar  hai  dhuup  kā  sahrā  hai  aur  maiñ
dariyā  to  saath  chhoḌ  gayā  darmiyān  se
vo  mausam-e-ḳhizāñ  kī  thakan  hī  meñ  jal  ga.e
bāhar  khile  jo  phuul  tire  sā.ebān  se
ik  umr  ho  ga.ī  hai  ki  Dartā  rahā  huuñ  maiñ
raushan  charāġh  se  kabhī  andhe  makān  se
gahre  samundaroñ  meñ  sitāra  na  thā  koī
sāhil  kī  shaam  mil  na  sakī  bādbān  se
dīvār  aa.ine  kī  hai  shīshe  ke  bām-o-dar
lekin  ġhubār  uThtā  hai  mere  makān  se