Jazib Quraishi

charaghon ke bujhane ko hawa be-iKHtiyar aai

Jazib Quraishi

Kolkata, West Bengal, India

1940

charāġhoñ ke bujhāne ko havā be-iḳhtiyār aa.ī

gulāboñ mahak bikhrī to āvāz-e-sharār aa.ī

bagūloñ ne safar meñ āñdhiyoñ āsmāñ dekhā

magar ik fāḳhta apne shajar tak be-ġhubār aa.ī

jise ne ujālā jaan kar chehre pe likkhā thā

vahī shohrat tirī rusvā.iyoñ ke ham-kanār aa.ī

añdheroñ meñ mujhe ḳhud ik sitāra DhūñDne aayā

ki shahr be-hunar se ik sadā-e-e'tibār aa.ī

mirī āñkhoñ meñ jitne rañg the sab jal ga.e 'jāzib'

magar vo mujh se milne jab bhī aa.ī be-qarār aa.ī

Top Urdushayar.com