Qurban Ali Salik Beg

meri KHatir mein saqi kab tera paimana aata hai

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880

mirī ḳhātir meñ saaqī kab tirā paimāna aatā hai

ki yaañ har-dam ḳhayāl-e-nargis-e-mastāna aatā hai

Thikāne justujū-e-yār meñ kis kis ke chhūTe haiñ

ki bulbul baaġh meñ aur bazm meñ parvāna aatā hai

shab-e-furqat uThā kar fitna-e-mahshar se kahtī hai

mujhe zulf-e-darāz-e-yār afsāna aatā hai

nikal kar aañkh se ġhā.eb nahīñ hote haiñ ye aañsū

isī paanī se bhartā umr paimāna aatā hai

ilāhī log kyuuñ ho ho ke ḳhush firdaus jaate haiñ

magar is baaġh se aage koī vīrāna aatā hai

dil-e-zār aur shast-e-yār meñ ik raah hai maḳhfī

ḳhatā ho kar bhī sīdhā nāvak-e-jānāna aatā hai

chalā huuñ ghar se uTh kar ka.abe jānib magar mujh ko

taraddud hai ki raste meñ mire mai-ḳhāna aatā hai

mujhe gardish meñ paayā daur-e-charḳh-e-barīñ kaahe

ki mere saath chakkar meñ mirā kāshāna aatā hai

ye raġhbat hai use aġhyār se jab sher kahtā hai

to mazmūñ bhī ḳhayāl-e-yār meñ begāna aatā hai

tire kūche meñ ho jaatā hai kyā insān par jaadū

abhī hushiyār jaatā hai abhī dīvāna aatā hai

gayā jo is ḳham-e-gesū meñ vaañ ho rahā 'sālik'

ye hairat hai salāmat kyuuñ ki phir kar shāna aatā hai

Top Urdushayar.com