Qurban Ali Salik Beg

dair-o-kaba ko rahguzar samjhe

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
dair-o-ka.aba ko rahguzar samjhe
dil ko jo koī terā ghar samjhe
ashk-e-ḳhūnīñ bahe to ham dil ko
hadaf-e-nāvak-e-nazar samjhe
nāla-e-ġhair ātish-afshāñ hai
shab-e-vaslat kī tum sahar samjhe
na uThā apne āstāñ se hameñ
ham to baiThe haiñ apnā ghar samjhe
naama de kar nazāra hai manzūr
ham taqāzā-e-nāma-bar samjhe
ġhair se pūchhte haiñ kūcha-e-yār
aise rahzan ko rāhbar samjhe
vo sitam karne aa.e haiñ ījād
aur ham aah kā asar samjhe
sarf karnā hai unsur-e-ābī
ham tirā girya chashm-e-tar samjhe
us se kyā mudda.ā kahūñ 'sālik'
sulh kī baat ko jo shar samjhe
Top Urdushayar.com