Qurban Ali Salik Beg

insan-e-hawas-pesha se kya ho nahin sakta

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
insān-e-havas-pesha se kyā ho nahīñ saktā
majbūr hai is se ki ḳhudā ho nahīñ saktā
vo uqda mire kaam meñ taqdīr ne Daalā
jo nāḳhun-e-tadbīr se vā ho nahīñ saktā
dahshat se koī naam bhī letā nahīñ varna
is bazm meñ kyā zikr mirā ho nahīñ saktā
kyuuñ kar ho harīs-e-sitam-e-ishq kī serī
ġham rizq-e-muqaddar hai sivā ho nahīñ saktā
dil kyuuñ ki ḳhadañg-e-nigah-e-yār se bach jaa.e
ye tiir qazā kā hai ḳhatā ho nahīñ saktā
tamkīñ se na dekhe jo kabhī aa.ina jhuk kar
vo murtakib-e-sharm-o-hayā ho nahīñ saktā
mātam-zada ke haath se ghabrā na shab-e-vasl
aadat hai ki siine se judā ho nahīñ saktā
kahne pe chale dil ke abas ye bhī na jaanā
gumrāh kabhī rāh-numā ho nahīñ saktā
hai chaal tirī bā.is-e-āsūdgī-e-halq
ḳhajlat ke sabab hashr bapā ho nahīñ saktā
ye dard hai terā hī ki hai jaan se shīrīñ
har dard meñ zālim ye mazā ho nahīñ saktā
ai tā.ir-e-jāñ shikva-e-taklīf-e-qafas kyuuñ
kyā tū qafas-e-tan se rihā ho nahīñ saktā
ġhairat hai jo mujh meñ to vo kahte haiñ sar-e-bazm
parvāne se jo kaam huā ho nahīñ saktā
vo ġham-zada bante haiñ mirī na.ash pe lekin
dil-ḳhush hai ki lab nauha-sarā ho nahīñ saktā
ham zamzama-sanj-e-arnī ban nahīñ sakte
tū baam pe kyā jalva-numā ho nahīñ saktā
maiñ is qadar achchhā to nahīñ huuñ ki bahar aa.uuñ
mansūr ne da.avā jo kiyā ho nahīñ saktā
maiñ us nigah-e-nāz kā mahkūm huuñ 'sālik'
vābasta-e-ahkām-e-qazā ho nahīñ saktā
Top Urdushayar.com