sāzishoñ ke daur meñ mausam ne yuuñ jakḌā hameñ
ain mumkin hai mo.arriḳh bhī likhe andhā hameñ
dostī kī ye zarūrī shart ho jaise koī
har qadam par dostoñ ne de diyā dhokā hameñ
jalte ḳhemoñ meñ hamārī nasl roñdī jā.egī
yaad rakkhegī hamāre baad ye duniyā hameñ
phir sunā.ī de rahī hai har taraf ghoḌoñ kī Top
phir naved-e-tishnagī dene lage dariyā hameñ
aadmī haiñ ham nahīñ haiñ peḌ par 'sābir' 'razā'
bāñTanā hogā kaḌaktī dhuup meñ saaya hameñ