sham.a  kī  tarah  pighalte  rahiye
apnī  hī  aag  meñ  jalte  rahiye
aaj  insāñ  kā  muqaddar  hai  yahī
har  na.e  sāñche  meñ  Dhalte  rahiye
zinda  rahne  kī  tamannā  hai  agar
apnā  chehra  bhī  badalte  rahiye
chhāñv  kī  tarah  baḌhā  bhī  kiije
dhuup  kī  tarah  na  Dhalte  rahiye
zindagī  kī  hai  alāmat  laġhzish
kyuuñ  bahar-gām  sambhalte  rahiye
kaam  liije  na  zabāñ  se  apnī
ḳhaak  bas  chehre  pe  malte  rahiye
zehn  bhī  shal  na  kahīñ  ho  jaa.e
vaqt-zāroñ  se  nikalte  rahiye