vo  masāf-e-zīst  meñ  har  moḌ  par  tanhā  rahā
phir  bhī  hoñToñ  par  na  us  ke  koī  bhī  shikva  rahā
jo  sadā  tishna-laboñ  ke  vāste  dariyā  rahā
umr  bhar  vo  ḳhud  ba-nām-e-dostāñ  pyāsā  rahā
aql  hairāñ  hai  junūñ  bhī  dam-ba-ḳhud  hai  soch  kar
vo  hujūm-e-kushtagāñ  meñ  kis  tarah  zinda  rahā
phūlne  phalne  kā  mauqa.a  to  kahāñ  un  ko  milā
nīm-jāñ  paudoñ  pe  jab  tak  aap  kā  saaya  rahā
'alqama-shiblī'  havā  kaisī  chalī  gulzār  meñ
āshiyāñ  meñ  bhī  parinda  vaqt  kā  sahmā  rahā