mujh  ko  auroñ  se  koī  shikvā  nahīñ
maiñ  ne  bhī  to  ḳhud  ko  pahchānā  nahīñ
sar  pe  aa  pahuñchā  hai  sūraj  karb  kā
saath  apne  saaya  bhī  apnā  nahīñ
shauq-e-manzil  hī  hai  merā  ḳhizr-e-rāh
naqsh-e-pā  har  moḌ  par  miltā  nahīñ
ho  gayā  ḳhūn-e-hayāt  ab  yuuñ  safed
jaise  merā  is  se  kuchh  rishta  nahīñ
hai  ḳhayāl-e-ḳhām  vo  maiñ  ne  jise
pairahan  alfāz  kā  baḳhshā  nahīñ
ab  hai  chehroñ  par  naqāb-e-maslahat
koī  chehra  dil  kā  ā.īna  nahīñ
kyuuñ  na  ho  sho.ala-ba-dāman  zindagī
kis  taraf  ab  aag  kā  dariyā  nahīñ
phuul  kī  ik  pañkhuḌī  kahiye  use
zindagī  ik  barg-e-āvāra  nahīñ
zehn-e-'shiblī'  meñ  hai  us  kī  guuñj  bhī
vaqt  ke  hoñToñ  pe  jo  naġhma  nahīñ