zaḳhm  dil  kā  ḳhūñ-chakāñ  aisā  na  thā
ab  se  pahle  jāñ-sitāñ  aisā  na  thā
larza-bar-andām  hai  qasr-e-yaqīñ
aadmī  said-e-gumāñ  aisā  na  thā
phuljhaḌī  sī  chhūTtī  thī  rāt-din
shahr-e-jāñ  tīra-nishāñ  aisā  na  thā
phuul  jo  the  aarzū  ke  jal  ga.e
sho.ala  sho.ala  gulistāñ  aisā  na  thā
ziist  kī  rah  meñ  balā.eñ  thiiñ  magar
mere  sar  par  āsmāñ  aisā  na  thā
shāḳh-e-gul  thī  titliyoñ  ke  par  bhī  the
gulshan-e-dil  be-amāñ  aisā  na  thā